phir goya hui sham parindon ki zabani aao sunen mitti se hi mitti ki kahani waqif nahin ab koi samundar ki zaban se sadiyon ki masafat ko sunata to hai pani utre koi mahtab ki kashti ho tah-e-ab dariya mein badalti nahin dariya ki rawani kahta hai koi kuchh to samajhta hai koi kuchh lafzon se juda ho gae lafzon ke maani is bar to donon the nai rahon ke rahi kuchh dur hi hamrah chalen yaaden purani