subuk hun apni nigahon mein arz-e-haal ke baad ki aabru nahin rahti kabhi sawal ke baad na puchho dil ko hui hain aziyyaten kya kya kabhi sawal se pahle kabhi sawal ke baad zamir ki wo musalsal malamaten tauba mila hai dil ko sakun ashk-e-infial ke baad qarar dil ko nahin tha qarar dil ko nahin tere visal se pahle tere visal ke baad tere itab sahe sabr se to lutf hua tera jamal bhi dekha tere jalal ke baad zan-o-guman se guzar kar tera khayal aaya koi khayal na aaya tere khayal ke baad main dil to haar chuka jaan-o-mal hazir hain 'khalish' ke pas hai kya aur jaan-o-mal ke baad