diwar-o-dar mein simta ek lams kanpta hai bhule se koi dastak de kar chala gaya hai sabr o shakeb baqi tab o tawan salamat dil misl-e-ud jal jal khushbu bikherta hai hum khak ho chuke the apni hi hiddaton mein mitti hai rakh phir se paikar naya bana hai ek zakhm zakhm chehra tukdon mein hath aaya aur hum samajh rahe the aaina jud gaya hai sahra-e-nim-shab mein be-as reton par din bhar ke kusht o khun ka mara tadap raha hai dahshat-zada zamin par wahshat bhare makan ye is shahr-e-be-aman ka aakhir koi khuda hai mil jae aablon ko dad-e-musafirat ab ab dard-e-be-nawai kuchh had se bhi siwa hai hum par to khul chuka bhi dar band har bala ka kya jaaniye ajal ko ab intizar kya hai gul-chiniyon ka hum se 'bilqis' haal puchho angusht-e-arzu mein kanta utar gaya hai