subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna sulag uthe ho to jalne ka hausla rakhna nai faza mein nae par nikalne honge falak ko zer-e-zamin ko gurez-pa rakhna tumhaare jism ke sandal ki aabru hai bahut hujum-e-shauq mein rah kar bhi fasla rakhna zamin phul faza nur aasman dhanak inhin mein rahna magar rang bhi juda rakhna tumhaare shahr ke lab-basta shairon mein se hun mere liye bhi koi harf-e-be-nawa rakhna ye zinaten bhi ajab hain ye sadgi bhi ajab riya ke sare hunar jism par saja rakhna na jaane kaun sa kis waqt kaam aa jae so ek jeb mein but ek mein khuda rakhna