badal gai hai kuchh aisi hawa zamane ki ki aam ho gai aadat nazar churane ki ye baat kash samajhte sabhi chaman wale chaman luta to nahin khair aashiyane ki unhen khabar nahin wo khud bhi aazmae gae jinhen thi fikr bahut mujh ko aazmane ki koi kali na rahi phir bhi muskurae baghair saza agarche muqarrar thi muskurane ki hua yahi ki wo takmil tak pahunch na saka bahut latif thi tamhid jis fasane ki ek aap hi pe nahin munhasir janab-e-'nazir' bade badon ko hawa lag gai zamane ki