suhane khwab aankhon mein sanjona chahta hun mein ab aaram se kuchh der sona chahta hun shajar ko bar-awar dekhna maqsad nahin hai ki mein to bas zamin par khwab bona chahta hun mere hanste hue bachcho ye sara ghar tumhaara main rone ke liye bas ek kona chahta hun nawah-e-zist mein kyun barishen hoti nahin hain main pichhle mausamon ke zakhm dhona chahta hun bas us ke aane tak mausam mujhe sarsabz rakhna use ek khar ab main bhi chubhona chahta hun mujhe be-khwab rakhti hai kabhi duniya kabhi dil main bachchon ki tarah be-fikr sona chahta hun hawao kya tumhaara mehrban shana milega dahaden mar kar main aaj rona chahta hun jise hai jaan aziz apni utar jae kinare main apni naw maujon mein dubona chahta hun 'salim' ab aandhiyon se ham-rakabi kis liye hai sar-e-mizhgan bacha kya hai ki khona chahta hun