uljhe uljhe dhage dhage se khayalon ki tarah ho gaya hun in dinon tere sawalon ki tarah apne dil ki wusaton mein har taraf bhatka phira be-karan mubham sarabon mein ghazalon ki tarah ye mera ehsas hai ya jabr-e-mausam ka asar ab ki rut mahke nahin gul pichhle salon ki tarah asr-e-hazir ki jabin par talkhiyan kanda huin tan gae haalat apne gird jalon ki tarah dasht-e-gham mein aandhiyon ke dar sahne ke liye khushk patte uth rahe hain aaj dhaalon ki tarah zulmat-e-maghrib ko 'khatir' koi ye paigham de hum bhi ab ubhrenge mashriq se ujalon ki tarah