sukh isi ek baat ka hai mujhe mera baatin hi aaina hai mujhe in se izhaar ki tawaqqo hai teri aankhon mein dekhna hai mujhe aap ka hijr aakhiri dukh hai aap ka ishq dusra hai mujhe sans-dar-sans kar raha hun ada aur ye zindagi bhi kya hai mujhe mujh ko aawaz ab nahin darkar meri khamoshi hi sada hai mujhe kaam duniya ke kar liye sare mahz ab us ko bhulna hai mujhe ek mujh mein hai mubtala duniya aadmi kitna sochta hai mujhe yani binai tak chali jae yahi rone ki intiha hai mujhe