sukh jata hai har shajar mujh mein kuchh duaen hain be-asar mujh mein jaanta hi nahin hun main us ko wo jo aane laga nazar mujh mein dhup mein dekh kar parindon ko ugne lagta hai ek shajar mujh mein panw ab puchhne lage mujh se main safar mein hun ya safar mujh mein aaina dekh kar laga mujh ko main nazar mein hun ya nazar mujh mein dard mein dub hi gai aawaz hijr ne ab kiya asar mujh mein