sukhan-asar mausam ka khula manzar banana hai mujhe sahra kinare phul sa manzar banana hai safir-e-subh aainda hun sari raat jagunga parindon ki tarah ek dil-kusha manzar banana hai lahu mausam mein gholunga hunar paikar-tarashi ka ki patthar mein chhupi taswir ka manzar banana hai mujhe bab-e-asar bhi kholna hai aasmanon mein zaminon ke dua-ghar mein dua manzar banana hai yahi khwahish hai mere sabz-poshon ke qabile ki mujhe phir is zamin ko karbala-manzar banana hai mere wirse mein to sahra hi likkha hai magar mujh ko madine ki khajuron se saja manzar banana hai yaqinan phir tawaf-e-zat ka manzar banaunga magar pahle mujhe sajdon bhara manzar banana hai koi dekhe to is la-manzari ki dhund se aage koi soche to is ke baad kya manzar banana hai fasil-e-qasr-e-kohna ke muqabil dhup ka manzar sunahri dhup ka mujh ko naya manzar banana hai naya rang-e-sukhan ijad karna hai mujhe 'shaukat' ghazal ke shahr mein ek khushnuma manzar banana hai