safar mein ek naya imkan zahir ho raha hai nazar mein ek naya imkan zahir ho raha hai hawa ka raushni ka khushbuon ka titliyon ka nagar mein ek naya imkan zahir ho raha hai parinde sham se hamd-e-khuda gane lage hain shajar mein ek naya imkan zahir ho raha hai koi dekhe zara peshaniyan ahl-e-hunar ki hunar mein ek naya imkan zahir ho raha hai gul-e-ummid ki khushbu kahan se aai 'shaukat' sahar mein ek naya imkan zahir ho raha hai