suKHan ke aainon ko pash pash karte rahe

sukhan ke aainon ko pash pash karte rahe
hum apne lafzon mein mani talash karte rahe

lawaton se raqibon ne jab bhi bahlaya
mohabbaton ke sabhi raaz fash karte rahe

bacha tha kuchh jo ragon mein lahu tamanna ka
usi ko bech ke hasil maash karte rahe

shikast-e-rang se khushbu bhi reza reza hui
chaman mein hum yahi reze talash karte rahe

ana ki rakh hai lipti hui chattanon se
ye kaun log yahan bud-o-bash karte rahe

bichhad gae the sar-e-sham hi jo hum se 'karam'
hum un sitaron ko shab-bhar talash karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close