chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho ruswaiyon ki apni kahin intiha na ho josh-e-wafa ka nam junun rakh diya gaya ai dard aaj zabt-e-fughan se siwa na ho ye gham nahin ki tera karam hum pe kyun nahin ye to sitam hai tera kahin samna na ho kahte hain ek shakhs ki khatir jiye to kya achchha yunhi sahi to koi aasra na ho ye ishq hadd-e-gham se guzar kar bhi raaz hai is kashmakash mein hum sa koi mubtila na ho is shahr mein hai kaun hamara tere siwa ye kya ki tu bhi apna kabhi ham-nawa na ho