sukhan mein dub kar afkar ke andar se nikli hun badi mushkil se main kirdar ke andar se nikli hun ye kaisi tan mein bhar kar utara khud ko naghme mein dhali sur mein na main jhankar ke andar se nikli hun meri marzi bhi shamil jab hui hai us ki marzi mein main zid ko tod kar inkar ke andar se nikli hun kahin buniyaad mein shamil hua hoga lahu mera main mitti ho ke jis diwar ke andar se nikli hun kiya takhliq us ne mujh ko kis mear par rakh kar dhali fan mein na main fankar ke andar se nikli hun mujhe chhanta hai jaane kis ne rakh kar kis kasauti par main kya jaanun main kis mear ke andar se nikli hun koi bhi qaus is taswir ki khulti nahin mujh par main kin hathon se kis parkar ke andar se nikli hun 'sahar' aasan na tha apne muqabil aa ke khud ladna yahi hai jit meri haar ke andar se nikli hun