sukhan mein jo rawani ho gai hai khuda ki mehrbani ho gai hai jo tere waste likhi gai thi wahi meri kahani ho gai hai naya ilzam rakh do aadmi par ye duniya ab purani ho gai hai tera mausam jo aaya hai nazar mein ghazal kitni suhani ho gai hai teri aankhon mein dhalti muskurahat hamari zindagani ho gai hai kahan ka dil kahan ka hai fasana mohabbat aani-jaani ho gai hai nahin likhegi 'nilam' nam un ka wo ab qadre siyani ho gai hai