tark-e-talluqat pe majbur ho gaya

tark-e-talluqat pe majbur ho gaya
khushbu se ek gulab bahut dur ho gaya

harf-o-kitab aaj bhi hain muntazir tere
mani tere firaq mein ranjur ho gaya

garche tamam umr raha khwab mein mere
dekha jo aankh bhar ke to mastur ho gaya

har faisle ke beach hai shamil tera khayal
tu meri kaenat ka manshur ho gaya

aai hai aankh apne nazare ke beach mein
dariya zara si bund mein mahsur ho gaya

kitni ajib chiz hai manzil ki tishnagi
wo pas aa gaya ki bahut dur ho gaya

jis ki gali mein jaanta koi na tha mujhe
ek din wo mere nam se mashhur ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close