sukhane baal hi kothe pe aa gae hote isi bahane zara munh dikha gae hote tumhein bhi waqt ki raftar ka pata chalta nikal ke ghar se gali tak to aa gae hote gala bhigo ke kahin aur sada laga leta zara faqir ko pani pila gae hote are ye thik hua hont si liye hum ne wagarna log tujhe kab ka pa gae hote bhala ho chand ka aate hi nur pahunchaya sitare hote to aankhen chura gae hote jawan jismon ko thanda na kar sake lekin hawa ke jhonke diya to bujha gae hote