husn us shokh ka aha-haha jin ne dekha kaha aha-haha zulf dale hai gardan-e-dil mein dam kya kya badha aha-haha tegh-e-abru bhi karti hai dil par war kya kya naya aha-haha aan par aan wo aji o ho aur ada par ada aha-haha naz se jo na ho wo karti hai chupke chupke haya aha-haha tair-e-dil pe us ka baz-e-nigah jis ghadi aa pada aha-haha us ki phurti aur us ki lap-chhap ka kya tamasha hua aha-haha bazm-e-khuban mein jab gaya wo shokh apni saj-dhaj bana aha-haha ki o ho-ho kisi ne dekh 'nazir' koi kahne laga aha-haha