sukhe patte uda raha hoga wo khizaon se khelta hoga nind ke nam se jo darta hai sanp khwabon mein dekhta hoga barf pighlegi jab pahadon par dhup mein shahr jal gaya hoga pattharon se hai wasta jis ko aaina chhup ke dekhta hoga mukhlisi us ko kha chuki hogi wo to rishton mein bat chuka hoga rang-sazon ke shahr ka 'betab' naqsha har pal badal raha hoga