sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj shikast-e-khwab hai har shakhs ka muqaddar aaj hai waz-e-haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj amir-e-shahr ke badle hue hain tewar aaj har ek shakhs hai apne hisar mein mahsur hai sab ke dar-pae-azar wo sitamgar aaj kiya hai gardish-e-dauran ne dar-ba-dar sab ko jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj samajh raha tha jise khair-khwah main apna wahi hai dushman-e-jaan mera sab se badh kar aaj fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj dikha raha hai mujhe sabz bagh jo 'barqi' wo le ke phirta hai kyun aastin mein khanjar aaj