sukun-e-qalb nihan hai hasin nazaron mein

sukun-e-qalb nihan hai hasin nazaron mein
mohabbaton ke hain paigham aabshaaron mein

na puchh hijr ke maron ka haal-e-dil hum se
azab sahte hain tanhai ka bahaaron mein

har ek mauj mein hangama hai qayamat ka
sukut kitna hai dekho zara kinaron mein

kisi bhi taur ye bilkul sanad nahin banti
badha ke pesh jo karte hain ishtihaaron mein

kuchh is mizaj se jiwan yahan guzara hai
hamara nam bhi aaega khaksaron mein

use bhi hum to ghanimat hi jaante hain aaj
'nazar' jo aate hain do chaar gham-gusaron mein

hamara sab se bada alamiya yahi to hai
ye dahr bat jo gaya hai kai hisaron mein

zaruri kya hai har ek baat khul ke kahne ki
bataya kijiye kuchh kuchh 'nazar' ishaaron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close