ghubar-e-rah-e-wafa aasman sa lagta hai har ek zarra yahan kahkashan sa lagta hai ye fasla mujhe jaane kahan pe le jae wo fasla jo tere darmiyan sa lagta hai mere badon ki duaon ka ye karishma hai ki sar pe mujh ko sada saeban sa lagta hai nai udan ne yun dur kar diya ghar se ki aasman mujhe apna makan sa lagta hai yaqin jaaniye hum dil-jalon ki baaton se kabhi dhuan nahin uthta dhuan sa lagta hai mere makan mein bhi khilte hain rang rang ke phul mera makan bhi hindostan sa lagta hai 'said' mujh ko to ab zindagi ka har lamha yaqin sa hote hue bhi guman sa lagta hai