sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista mohabbat ho rahi hai kaamyab aahista aahista ajab aalam hai aaghaz-e-surur-e-ishq ka aalam uthe jaise ufuq se mahtab aahista aahista sarishk-e-gham kabhi sham-e-judai ko bujha denge yahi tare banenge aaftab aahista aahista kharab-e-nargis-e-mastana aakhir ho gaya zahid rasa hoti hai tasir-e-sharab aahista aahista nashat-e-arzu khwab-e-tamanna dard-e-mahrumi mohabbat ne uthae sab hijab aahista aahista ba-har-unwan musalsal chhed hai ab un ke jalwon se bahak nikli nigah-e-baryab aahista aahista 'rawish' raaz-e-mohabbat aaj bhi hai raaz-e-la-yanhal ghalat sabit hue sare jawab aahista aahista