us ka mizaj puchho jo har waqt pas hai

us ka mizaj puchho jo har waqt pas hai
us ki bala se dil jo hamara udas hai

poshak se badan ki tajalli hai aashkar
fanus-e-sham-e-tur tumhaara libas hai

dil tod kar wo nashshe mein kahte hain naz se
kis kaam ka raha hai ye tuta glass hai

farmaiye mizaj-e-mubarak hai kis tarah
kuchh khair to hai kis liye chehra udas hai

muddat ke baad aaj to tanha mile huzur
us par bhi puchhte hain ki kya iltimas hai

talwar ki hai qadr-shanasi ke dam ke sath
'jauhar' ko jaanta hai jo jauhar-shanas hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close