sukun nasib hua aur na kuchh qarar mujhe

sukun nasib hua aur na kuchh qarar mujhe
khizan hi lagta hai ye mausam-e-bahaar mujhe

wo aaen bazm-e-tasawwur mein bas ye kafi hai
qasam khuda ki yahi hai visal-e-yar mujhe

ye be-khudi bhi mohabbat ki ek amanat hai
khuda ke waste kije na hoshiyar mujhe

samajh sake na mere gham ko aap bhi ab tak
yahi hai gham jo rulata hai zar zar mujhe

ye jaanta hun ki manzil qarib hai lekin
dikhai kuchh nahin deta ba-juz ghubar mujhe

gham-e-hayat ki jagi udas raaton mein
ye aarzu hai kabhi dil se tu pukar mujhe

kisi ke dil ko badal dun main kis tarah 'sarwar'
jab apne dil pe nahin hai kuchh ikhtiyar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close