sukun-o-sabr luta hosh ka khazana gaya tumhin batao khudara ki mera kya na gaya girai barq-e-nazar-soz barha lekin mazaq-e-did hamara shikast kha na gaya khuda ki zat pe insan ne kar diye hamle fareb-e-aql se jab aap mein raha na gaya hamare zauq-e-nazar ne to khub kaam kiya chhupe hazar tarah wo magar chhupa na gaya tamam umr jalaya charagh-e-dil main ne shab-e-siyah ka lekin ye silsila na gaya khulus-e-dil mein hi 'anjum' kami rahi hogi ki wo qarib rahe phir bhi fasla na gaya