sukun thoda sa paya dhup ke thande makanon mein bahut jalne laga tha jism barfili chatanon mein kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein janaza meri tanhai ka le kar log jab nikle main khud shamil tha apni zindagi ke nauha-khwanon mein meri mahrumiyan jab pattharon ke shahr se guzrin chhupaya sar teri yaadon ke tute saebanon mein mujhe meri ana ke khanjaron ne qatl kar dala bahana ye bhi ek bechaargi ka tha bahanon mein tamasha hum bhi apni bebasi ka dekh lete hain teri yaadon ke phulon ko saja kar phul-danon mein zamin pairon ke chhaale roz chun leti hai palkon se takhayyul roz le udta hai mujh ko aasmanon mein main apne-ap se har dam khafa rahta hun yun 'azar' purani dushmani ho jis tarah do khandanon mein