karo saman jhule ka ki ab barsat aai hai ghata umdi hai bijli ne chamak apni dikhai hai agar jhule tu mere dil ke jhule mein to ai zalim rag-e-jaan se tere jhule ko main rassi banai hai yahan abr-e-siyah mein aaj tere surkh jode ne mujhe sham o shafaq dast-o-gareban kar dikhai hai idhar hai kirmak-e-shab-tab udhar jugnu gale ka hai ye aalam dekh kar ye baat mere ji mein aai hai ba-qaul-e-hazrat-e-'hatim' 'nisar' us waqt yun kahiye teri qudarat ke sadqe kya tamashe ki khudai hai