sukut-e-lab ko mere arz-e-haal hi samjho meri ana-e-khafi ko sawal hi samjho wo ru-ba-ru hain mere dil magar ye kahta hai khayal-e-husn ko husn-e-khayal hi samjho rafaqaton ke qarine badalte rahte hain so karb-e-hijr ko lutf-e-visal hi samjho tadap rahe hain jo yun hum sada-e-saz ke sath use kuchh aur nahin wajd-o-haal hi samjho mere hunar ko raha bazm-e-kam-nazar se gurez use bhi mere hunar ka kamal hi samjho hawa-e-subh-e-chaman aur ek bar agar guzar gai to hamein paemal hi samjho dilon ke zakhm chhupe hain lahu ki chadar mein tumhein gharaz nahin tum indimal hi samjho husul-e-kaif ko mai-khana-e-hayat mein 'lais' shikast-e-jam se pahle muhaal hi samjho