sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain ye kam-nigah fareb-e-khudi samajhte hain jo tirgi mein bhatakte hain rahnuma hain wo jo raushni hai use tirgi samajhte hain nizam-e-kohna ka padhte hain wo qasida phir jo raqs-e-maut ko bhi zindagi samajhte hain tabassum-e-lab-e-jaanan se khelne wale gham-e-wafa ko gham-e-zindagi samajhte hain sajae jate hain daman ko aaj kanton se khayal-e-gul ko mata-e-kali samajhte hain junun ki dad bhula denge kya khirad ke ghulam jo zinda-dil hain use zindagi samajhte hain ye zarf apna hai 'nazir' ki is zamane ne jo gham diya hai use hum khushi samajhte hain