yun sitamgar nahin hote jaanan phul patthar nahin hote jaanan kyun mere dil se kahin jate ho ghar se be-ghar nahin hote jaanan wasl ki shab jo karam tum ne kiye kyun mukarrar nahin hote jaanan hum tumhein but ki tarah pujte hain phir bhi kafar nahin hote jaanan gham ke dipak nahin jalte jab tak dil munawwar nahin hote jaanan hum to rahte hain tumhaari had mein had se bahar nahin hote jaanan ek jaise hain khushi ke lamhe dukh barabar nahin hote jaanan is qadar khun na bahana dil ka dil samundar nahin hote jaanan