sukut-e-shab mein andheron ko muskurane de

sukut-e-shab mein andheron ko muskurane de
bujhe charagh to phir jism-o-jaan jalane de

dukhon ke khwab-numa nim-wa darichon mein
wafur-e-karb se taron ko jhilmilane de

jalana chahe agar chahaton ka suraj bhi
badan ke shahar ko is dhup mein jalane de

tu apne sang-numa ruh ke safine ko
gham-e-wafa ke samundar mein dub jaane de

mere wajud mein kanton ka ek jangal hai
wo apni zat ke phulon mein kyun samane de

kise khabar hai ki hum donon apne qatil hain
jo be-khabar hain unhen chikh kar batane de

hun muntazir ki koi aaj aane wala hai
ba-qadr-e-zauq dar-o-baam ko sajaane de

guzarte lamhon ke hamrah tutta hai badan
visal-e-yar ki lazzat ka bar uthane de

main pattharon ki tarah chup nahin ai tesha-ba-dast
wo aur hoga tujhe zarb jo lagane de

jab apne panw mein zanjir pad gai hai to phir
chala to jata nahin gard hi udane de

bhatak raha hun bagulon ke rang mein 'naqqash'
badan to khak hua ruh bhi jalane de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close