sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko main in dinon teri aankhon ke ikhtiyar mein hun jamal-e-sabz kisi tajarbe mein la mujh ko main budhe jism ki zillat utha nahin sakta kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko main apne hone ki takmil chahta hun sakhi so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki malum ab is se aage koi rasta bata mujh ko us ism-e-khas ki tarkib se bana hun main mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali' wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko