sukut-e-sham se ghabra na jae aaKHir tu

sukut-e-sham se ghabra na jae aakhir tu
mere dayar se guzri jo ai kiran phir tu

libas-e-jaan mein nahin shoalagi ka rang magar
jhulas raha hai mere sath kyun ba-zahir tu

wafa-e-wada-o-paiman ka e'tibar bhi kya
ki main to sahab-e-iman hun aur munkir tu

mere wajud mein ek be-zaban samundar hai
utar ke dekh safine se meri khatir tu

main shakh-e-sabz nahin mahram-e-saba bhi nahin
mere fareb mein kyun aa gaya hai tair tu

isi ummid pe jalte hain raston mein charagh
kabhi to laut ke aaega ai musafir tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close