sukut kab se lab-e-shauq par hai kya kahiye ki dushman apna hi zauq-e-nazar hai kya kahiye ye kis ke gham mein rawan chashm-e-tar hai kya kahiye har ashk daulat-e-barq-o-sharar hai kya kahiye gham-e-maal-e-mohabbat are maaz-allah charagh-e-sham ko khauf-e-sahar hai kya kahiye sanwar to jaen zamane ke pech-o-kham lekin phiri phiri si tumhaari nazar hai kya kahiye diya gaya jise rangini-e-bahaar ka nam ye sab hamara hi khun-e-jigar hai kya kahiye teri nigah ki hai chaara-saz aalam ki hamare waste kyon neshtar hai kya kahiye chaman mein apna nasheman kise aziz nahin kahe jo barq ki ye apna ghar hai kya kahiye har ek sans hai gum zindagi ki manzil mein khamosh yun hain ki rah-e-safar hai kya kahiye khulegi aankh koi din mein ham-safiron ki nai nai hawas-e-baal-o-par hai kya kahiye samajh rahi hai hamein us ka ham-nashin duniya wo hum se dur magar kis qadar hai kya kahiye dayar-e-dil se to ab tak nikal raha hai dhuan nigah-e-naz ka rukh ab kidhar hai kya kahiye tumhaare zauq ko har roz taza afsane zaban-e-ishq yahan mukhtasar hai kya kahiye