chhu liya shoala-e-rukhsar-e-sanam dekho to kitne na-aqibat-andesh hain hum dekho to koi shikwa hai na fariyaad na gham dekho to jaane ab kaun si manzil pe hain hum dekho to ranj-o-alam ki jalti hui dopahron mein tum bhi chal kar kabhi do-chaar qadam dekho to dubi dubi si nazar aati hai kyon nabz-e-hayat aaj kya baat hai kyon dard hai kam dekho to dida-o-dil mein liye phirte hain hum aag hi aag tum ko andaz-e-taghaful ki qasam dekho to kya kisi rind ka dil tod diya zahid ne kyon larazne lagi diwar-e-haram dekho to hum se tamir-e-zamana hai hamin par yaro tode jate hain zamane ke sitam dekho to un ko ehsas hai aksar meri barbaadi ka kis bulandi pe hai ab qismat-e-gham dekho to