sulagti aankh ka sapna dikhai deta hai

sulagti aankh ka sapna dikhai deta hai
wo ek shakhs jo apna dikhai deta hai

meri bala se wo auron ko jis tarah bhi lage
mujhe to mere hi jaisa dikhai deta hai

wo raushni ki kiran hai bikharta jata hai
hujum-e-shahr mein yakta dikhai deta hai

bas ab to ek hi surat hai jaan bachane ki
bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai

utar ke baam se aaya hai mere aangan mein
'qamar' main dekhun wo kaisa dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close