tere aane ke hain jo aasare sone nahin dete hamein khush-fahmiyon ke silsile sone nahin dete mohabbat se hamein tu ne palat kar kyon nahin dekha teri badli nazar ke zawiye sone nahin dete wo rahta bewafa lekin nazar ke samne rahta nazar se dur hai to fasle sone nahin dete na jaane khauf ki parchhaiyan kaisi musallat hain ki andeshon ke hum ko azhdahe sone nahin dete sarae mein thahar kar bhi hamein to jagna hoga rawana hone wale qafile sone nahin dete har aahat pe guman hota hai tere laut aane ka nahin hai aas lekin hausle sone nahin dete 'qamar' main raat bhar jagun to hai is mein tajjub kya chamakne ke taqaze hi mujhe sone nahin dete