sulagti ret ki qismat mein dariya likh diya jae mujhe in jhil si aankhon mein rahna likh diya jae teri zulfon ke sae mein agar ji lun main pal-do-pal na ho phir gham jo mere nam sahra likh diya jae mera aur us ka milna ab to na-mumkin sa lagta hai use suraj mujhe shab ka sitara likh diya jae akela main hi kyun aakhir sajaun palkon pe tare kabhi us ki bhi palkon pe sitara likh diya jae mujhe chhoda hai tapti dhup mein jis shakhs ne tanha use bhi gham ki duniya mein akela likh diya jae jo shab-khun marta hai meri basti ke ujalon par muqaddar us ke bhi ghar ka andhera likh diya jae kahin bujhti hai dil ki pyas ek do ghunt se 'anzar' main suraj hun mere hisse mein dariya likh diya jae