na ghurur hai khirad ko na junun mein bankpan hai ye mizaj-e-zindagi to bada hausla-shikan hai jahan mil saken na mil ke jahan fasle hon dil ke use anjuman na samjho wo fareb-e-anjuman hai ye hawa chali hai kaisi ki dilon ki dhadkanon mein na hadis-e-lala-o-gul na hikayat-e-chaman hai nahin maslahat ki rahbar koi baat sach bata de zara karwan se puchho jo shikast jo thakan hai kai inqalab aae kai dip jhilmilae jo bujhi nahin hai ab tak teri yaad ki kiran hai main ghamon ki tirgi mein nahin is qadar bhi tanha koi mujh se dur rah kar mere dil mein zau-fagan hai nahin sab ke sath yaksan safar-e-hayat pyare kahin rang-o-bu ke sae kahin dasht-e-pur-mehan hai