sulagti ret pe khema laga ke dekha hai hamin ne dasht ko maskan bana ke dekha hai hamare sher tumhein kis tarah samajh aaen hamara haal kahan tum ne aa ke dekha hai kuchh is tarah se bitai hain hijr ki raaten ke jaise mausam-e-garma bita ke dekha hai wahi bataega umr-e-hayat kitni hai wo jis ne ret pe chehra bana ke dekha hai unhen tha shauq-e-masihai hum bhi aashiq the so hum ne apna gala bhi kata ke dekha hai suna tha ishq mein hai sabr lazim-o-malzum to intizar bhi palken bichha ke dekha hai hamari aankhen kahengi na jaane kab hum se kisi ne aaj hamein muskura ke dekha hai hamare sar pe tha ilzam be-wafai ka so apne aap ko apna bana ke dekha hai ta'alluqat mein aane lagi kami 'hani' tassubaat ne kya sar utha ke dekha hai