rukh se parda jo hata do to maza aa jae apna chehra jo dikha do to maza aa jae duriyan dasti hain har shab mujhe sanpon ki tarah fasle aa ke mita do to maza aa jae meri aawaz akeli bhi hai maddham bhi hai tum jo aawaz mila do to maza aa jae chand ke misl nigahon mein hasin chehra hai gham ke baadal ko hawa do to maza aa jae jang karta hai zamane se akela 'hani' tum agar sath nibha do to maza aa jae