sulagti ret pe tahrir jo kahani hai mere junun ki ek anmol wo nishani hai main apne aap ko tanha samajh raha tha magar suna hai tum ne bhi sahra ki khak chhani hai ghamon ki dhup mein rahna hai saeban ki tarah khayal-e-gesu-e-jaanan ki mehrbani hai kabhi udhar se jo guzrega karwan apna to hum bhi dekhenge dariya mein kitna pani hai main ab bhi shan se zinda hun shahr-e-qatil mein mere khuda ki yaqinan ye mehrbani hai bura na mano to main saf saf ye kah dun tumhaare pyar ka dawa faqat zabani hai andhera rahta na baqi kahin magar 'afzal' kab aandhiyon ne charaghon ki baat mani hai