uski taswir ko sine se lagata hi nahin

us ki taswir ko sine se lagata hi nahin
han main wo shakhs hun jo ishq jatata hi nahin

us ko kab se hai tawaqqoa ki bulaunga main
main hi masruf hun itna ki bulata hi nahin

ek sach ye hai ki us ne hi kiya hai barbaad
ek ye bhi hai ki wo zehn se jata hi nahin

mere kamre ki to aadat hai bikhar jaane ki
main yahi soch ke kamre ko sajata hi nahin

khauf lagta hai mujhe raushni mein jaane se
sham ke waqt bhi main shama jalata hi nahin

hijr ke baad se us ne na rachai mehndi
main bhi ab jhat se koi phone uthata hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close