sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha ki tere qurb ka manzar bhi pyas aisa tha bichhad ke tujh se to khud se bhi sharm aati hai tera wajud-e-badan par libas aisa tha khud apne dil ki sada teri dastakon si lagi guman mein tha tera aana qayas aisa tha shikast-o-rekht ki sakhti ko kaise jhel gaya mulaemat mein jo paikar kapas aisa tha jahan kahin bhi gaya hun to ghar ko laut aaya udasiyon ka ye mahaul ras aisa tha fasil-e-shahr giri aur ghanim ke dar se koi na chain se soya hiras aisa tha padhen to khud ko zamin-bos paen kaj-dastar meri kitab mein ek iqtibas aisa tha