suluk dekh liya be-hunar hawaon ka har ek shakh hai manzar udas rahon ka wo chand ban ke meri raat par utarta hai to kaise yaad rakhun rang phir qabaon ka na koi nazm hi likkhi na tujh se baat hui ye pura sal hi thahra mujhe sazaon ka talab rahe to mahakte hain chahaton ke phul talab mite to sila kaisa phir wafaon ka nahin ye koh-e-nida se hai kuchh alag basti jawab aata nahin laut kar sadaon ka