yahan darakht the saya tha kuchh dinon pahle ajib khwab sa dekha tha kuchh dinon pahle ye kya hua ki ab apna bhi eatibar nahin hamein to sab ka bharosa tha kuchh dinon pahle hamare khun rag-e-jaan ki lala-kari se jo aaj bagh hai sahra tha kuchh dinon pahle usi ufuq se naya aaftab ubhrega jahan charagh jalaya tha kuchh dinon pahle abhi qarib se guzra hai ajnabi ki tarah wo ek shakhs jo apna tha kuchh dinon pahle jinhen darida-dahan kah ke hont site ho unhen sukhan ka saliqa tha kuchh dinon pahle