sun kaha man na manega to pachhtaega

sun kaha man na manega to pachhtaega
pyar nadan ko mat de ki ye mar jaega

rawish-e-am se hoshyar ki pachhtaega
waqt ko chhod ye pani hai guzar jaega

sach koi fan to nahin hai jo sikhaya jae
jhut se kaam le sach bolna aa jaega

do pahar haal-e-ghanimat hain akele-pan se
sath mat chhod ki aankhon mein bikhar jaega

bahr-e-zulmat pasina hai meri aankhon ka
zid na kar kaam ye aansu ka bhi kar jaega

in lahu-rang fazaon pe na ja baat samajh
ghar ke aaseb se bach waqt badal jaega

meri ghazlen hain mohabbat ke sahife 'anjum'
padhne walon ko tilawat ka maza aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close