sochta rahta hun takmil-e-wafa kaise ho

sochta rahta hun takmil-e-wafa kaise ho
aadmi bhi wo nahin hai to khuda kaise ho

ishq ko hausla-e-tark-e-wafa kaise ho
lafz mani ki sadaqat se juda kaise ho

main to puchhunga ki tum sab ke khuda kaise ho
meri aawaz farishton ki sada kaise ho

ek gham ho to bikhar jae mere chehre par
ghair-mahdud masaib hain ziya kaise ho

sochne walon ki niyyat ko khuda hi jaane
baat walon ko nahin fikr-e-wafa kaise ho

us ne majbur-e-wafa jaan ke munh pher liya
mujh se ye bhul hui puchh liya kaise ho

ek sulagta hua dil tum se jalaya na gaya
jaane tum mukhlis-e-arbab-e-wafa kaise ho

kis ki surat mein nahin jalwa-e-khun-e-mazdur
khun-e-mazdur ki qimat bhi ada kaise ho

ishq na-waqif-e-adab-e-talab hai 'anjum'
husn aamada-e-izhaar-e-wafa kaise ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close