sun rakh o khak mein aashiq ko milane wale arsh-e-azam ke ye nale hain bulane wale ye sada sunte hain us kuche ke jaane wale jaan kar jaan na kho kaun hai aane wale chain tujh ko bhi na ho mujh ko satane wale tu bhi thanda na rahe ji ke jalane wale kab hain is dil se butan hath uthane wale ye wo kafir hain ki masjid ke hain dhane wale jang hi gar tujhe manzur hai phir aankh lada ye bhi ek jang hai o aankh ladane wale ki to ayyar si sazish hai wale ghuncha-dahan chutkiyon mein hain ye joban ke udane wale un ke hansne pe na ja un ke hansane se na hans tere hansne pe jo hanste hain hansane wale bin-bulae tere aa kar tujhe bahkate hain sakht na-khwanda hain ye tujh ko padhane wale ashk-e-khunin ki hun main sail mein duba rahta ye mera rang hai o pan chabane wale yun gajar subh ka jaldi se baje wasl ki raat are be-rahm are dil ke satane wale guzri jo mujh pe so guzri hai na guzri tujh par ghadi ghadiyal ki ghadiyal bajaane wale kyun na un nalon ko main pa-e-ba-zanjir rakhkhun ai junun kaun hain ye ghul ke machane wale jab kaha main ne ki sun haal kaha tan se ye tum salamat raho ahwal sunane wale panw ko hath lagaya tu laga kahne sarak tujh ko qurban karun hath lagane wale muttala matla-e-'ehsan' se tu ho rashk-e-qamar tujh pe aashiq hue paigham ke lane wale